kaise dil lagta haram mein daur-e-paimana na tha is liye phir aae kabe se ki mai-khana na tha tum ne dekhi hi nahin taqdir ki tarikiyan ek andheri gor thi furqat mein kashana na tha majma-e-bait-ul-haram ki dhum sunte the magar ja ke jab dekha to un mein koi farzana na tha hashr mein us shokh ka tarz-e-taghaful dekhna mujh ko pahchana nahin haalanki begana na tha hashr mein aakhir use bhi chhodte hi ban padi khana-e-madfan bhi goya apna kashana na tha aisi kya biti ki 'muztar' un buton par mar mita jaan de deta wo kuchh aisa to diwana na tha