ulte wo shikwe karte hain aur kis ada ke sath be-taqati ke tane hain uzr-e-jafa ke sath bahr-ayaadat aae wo lekin qaza ke sath dam hi nikal gaya mera aawaz-e-pa ke sath be-parda ghair pas use baitha na dekhte uth jate kash hum bhi jahan se haya ke sath wo lala-ru gaya na ho gulgasht-e-bagh ko kuchh rang bu-e-gul ke ewaz hai saba ke sath us ki gali kahan ye to kuchh bagh-e-khuld hai kis jae mujh ko chhod gai maut la ke sath aati hai bu-e-dagh-e-shab-e-tar hijr mein sina bhi chaak ho na gaya ho qaba ke sath gulbang kis ka mashwara-e-qatl ho gaya kuchh aaj bu-e-khun hai wahan ki hawa ke sath the wade se phir aane ke khush ye khabar na thi hai apni zindagani usi bewafa ke sath kuche se apne ghair ka munh hai mita sake aashiq ka sar laga hai tere naqsh-e-pa ke sath allah re gumrahi but o but-khana chhod kar 'momin' chala hai kabe ko ek parsa ke sath