jis shakhs ki ho zist faqat nam se tere us shakhs ka kya haal ho paigham se tere gali hai ki hai sehr koi ya ki hai afsun ji shad hua jata hai dushnam se tere hai apni khushi is mein ki to jis mein khushi ho aaram hai apne tain aaram se tere aahista qadam rakhiyo tu ai naqa-e-laila majnun ka bandha aata hai dil gam se tere jab kuche mein ja baithte hain tere to apni aankhen lagi rahti hain dar-o-baam se tere hai apne hamein kaam se kaam ai but-e-khud-kaam hum kaam nahin rakhte hain kuchh kaam se tere kya hijr ki raat aai ki manind-e-charaghan phir jalne lage dagh 'hasan' sham se tere