raha na halqa-e-sufi mein soz-e-mushtaqi fasana-ha-e-karamat rah gae baqi kharab koshak-e-sultan o khanqah-e-faqir fughan ki takht o musalla kamal-e-razzaqi karegi dawar-e-mahshar ko sharmsar ek roz kitab-e-sufi-o-mulla ki sada-auraqi na chini o arabi wo na rumi o shami sama saka na do aalam mein mard-e-afaqi mai-e-shabana ki masti to ho chuki lekin khatak raha hai dilon mein karishma-e-saqi chaman mein talkh-nawai meri gawara kar ki zahr bhi kabhi karta hai kar-e-tiryaqi aziz-tar hai mata-e-amir-o-sultan se wo sher jis mein ho bijli ka soz o barraqaifi