jis taraf se bhi milawat ki rasad hai rad hai ek ratti bhi agar khwahish-e-bad hai rad hai dukh diye hain zar-e-khalis ki parakh ne lekin jis talluq mein kahin kina-o-kad hai rad hai amn likhna nahin sikhen jinhen padh kar bachche un kitabon pe kisi ki bhi sanad hai rad hai jab chadhai pe mera hath na thama tu ne ab ye choti pe jo be-faiz madad hai rad hai is lagawat bhare lahje ki jagah hai dil mein tahniyat mein jo riya aur hasad hai rad hai apni sarhad ki hifazat pe hai iman magar zindagi aur mohabbat pe jo had hai rad hai us se kahna ki ye tardid koi khel nahin jo meri baat ko dohrae ki rad hai rad hai