khel mein kuchh to gadbad thi jo aadhe ho kar haare log aadhe log niri mitti the aadhe chand sitare log is tartib mein koi jaani bujhi be-tartibi thi aadhe ek kinare par the aadhe ek kinare log us ke nazm-o-zabt se bahar hona kaise mumkin tha aadhe us ne sath milae aadhe us ne mare log aaj hamari haar samajh mein aane wali baat nahin us ke pure lashkar mein the aadhe aaj hamare log kis ke sath hamari yak-jaani ka manzar ban pata aadhe jaan ke dushman the aur aadhe jaan se pyare log in par khwab hawa aur pani ki tabdili lazim hai aadhe phike be-ras ho gae aadhe zahr tumhaare log aadhi raat hui to gham ne chupke se dar khol diye aadhon ne to aankh na kholi aadhe aaj guzare log aadhon aadh kati yakjai phir dujon ne bichon-bich aadhe panw ke niche rakkhe aadhe sar se ware log aisa band-o-bast hamare haq mein kaisa rahna tha halke halke chun kar us ne aadhe par utare log kuchh logon par shishe ke us jaanib hona wajib tha dhaar pe chalte chalte ho gae aadhe aadhe sare log