jis tarah ki hain ye diwaren ye dar jaisa bhi hai sar chhupane ko mayassar to hai ghar jaisa bhi hai us ko mujh se mujh ko us se nisbaten hain be-shumar meri chahat ka hai mehwar ye nagar jaisa bhi hai chal pada hun shauq-e-be-parwa ko murshid man kar rasta pur-pech hai ya pur-khatar jaisa bhi hai sab gawara hai thakan sari dukhan sari chubhan ek khushbu ke liye hai ye safar jaisa bhi hai wo to hai makhsus ek teri mohabbat ke liye tera 'anwar' ba-hunar ya be-hunar jaisa bhi hai