kab khazana talash karta hun aab-o-dana talash karta hun jis zamane ko hai talash meri wo zamana talash karta hun le ke dariya ko apni mutthi mein koi pyasa talash karta hun kaam-dhanda hai ab yahi mera kaam-dhanda talash karta hun tera chehra to har taraf paya apna chehra talash karta hun thak gaya hun talash kar kar ke phir dobara talash karta hun ek manzar hasin banaya hai aankh wala talash karta hun rakh ka dher hai mere aage is mein shoala talash karta hun 'abdi' be-ghari ne mar diya shab-basera talash karta hun