kaliyon ka tabassum ho, ki tum ho ki saba ho is raat ke sannate mein, koi to sada ho yun jism mahakta hai hawa-e-gul-e-tar se! jaise koi pahlu se abhi uth ke gaya ho duniya hama-tan-gosh hai, aahista se bolo kuchh aur qarib aao, koi sun na raha ho ye rang, ye andaz-e-nawazish to wahi hai shayad ki kahin pahle bhi tu mujh se mila ho yun raat ko hota hai guman dil ki sada par jaise koi diwar se sar phod raha ho duniya ko khabar kya hai mere zauq-e-nazar ki tum mere liye rang ho, khushbu ho, ziya ho yun teri nigahon mein asar dhund raha hun jaise ki tujhe dal ke dhadakne ka pata ho is darja mohabbat mein taghaful nahin achchha hum bhi jo kabhi tum se gurezan hon to kya ho hum khak ke zarron mein hain 'akhtar' bhi, guhar bhi tum baam-e-falak se, kabhi utro to pata ho