ye kya zarur hamin ko wo aazmaega har aane wala muqaddar bhi sath laega kise khabar hai ki is tira-khak-dan ke liye hai ek dil hi to raushan so dub jaega khule darichon se yun jhankti hai mayusi ki jaise ab koi jhonka idhar na aaega udas raat ki sargoshiyon ke baad agar sahar jo aai to kis ko yaqin aaega main jis ke mazi ka ek lamha-e-gurezan hun ye dekhna hai wo kaise mujhe bhulaega hazar khwab hain in khud-fareb aankhon mein bichhad ke bhi wo yahan se kahin na jaega ye din bhi aa gae ab apne dil pe biti hui main khud kahunga mujhi ko yaqin na aaega