jise hum dil samajhte the wahi ab dilruba nikla khuda ki shan hai jo muddai ka muddaa nikla pas-e-murdan talashi li farishton ne to kya nikla chhupa ek gosha-e-dil mein khayal-e-dil-ruba nikla tah-e-shamshir bhi bhule na hum qatil ke ehsan ko chali talwar ruk ruk kar zaban se marhaba nikla mere ashaar sun ke khush hue par wae re qismat zaban se marhaba kahne ko the mar be-haya nikla fana fillah jab 'asghar' hue to ye khula uqda jise hum but samajhte the wahi apna khuda nikla