jiye jaenge hum bhi lab pe dam jab tak nahin aata hamein bhi dekhna hai nama-bar kab tak nahin aata pahunchna tha jo arz-e-haal ko arsh-e-muazzam tak kai shab se wahi nala mere lab tak nahin aata dil apna wadi-e-ghurbat mein shayad mar raha ja kar na aane ki bhi ek miad hai kab tak nahin aata wahan auron ke qisson ko bhi sun kar wo khatakte hain yahan apni zaban par harf-e-matlab tak nahin aata yahan tak sina-tangi se zaif o zar hai nala chala jo subh ko wo ta-ba-lab shab tak nahin aata jahan tamhid ki wo aur qisse chhed deta hai kisi surat se zalim harf-e-matlab tak nahin aata bula bhejen na jab tak 'shad' ko wo apne kuche mein ijara hai tera ai shauq han tab tak nahin aata