kahan se darmiyan le aae ho jo sab nahin hota

kahan se darmiyan le aae ho jo sab nahin hota
mohabbat ka to duniya mein koi mazhab nahin hota

mujhe tum dekhte rahte ho lekin kuchh nahin kahte
main kaise man lun is ka koi matlab nahin hota

hum apne dil ke bare mein bata sakte nahin kuchh bhi
ki jaane kab ye hota hai na-jaane kab nahin hota

talluq jabr samjhen aur nibhate hi chale jaen
koi to had bhi hoti hai ye hum se ab nahin hota

tere kahne pe sar ke bal chale aate hain hum warna
kisi se kaun milta hai agar matlab nahin hota

'saghir' ohde waghaira hain zarurat aur logon ki
faqiri mein kisi ka koi bhi mansab nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close