kam kabhi rah ke aazar to hote honge aabla-pai kahin khar to hote honge mujh se ye soch ke wo mera pata puchhe tha tang-daston ke bhi ghar-bar to hote honge us se bichhda main andheron ka makin hun warna koi ghar ho dar-o-diwar to hote honge wo jahan bhi ho use dekh ke is shahr ke log ku-ba-ku naqsh-ba-diwar to hote honge marg jo apni tarah koi wahan ho ki na ho log use dekh ke bimar to hote honge be-gunah bhi tha nihattha bhi tha main ai qatil qatl karne ke bhi meyar to hote honge