jism ki aanch nahin shoala-e-ruKHsar nahin

jism ki aanch nahin shoala-e-rukhsar nahin
husn ki ab wo kahin garmi-e-bazar nahin

kaun si ruh pe bar-e-gham-e-afkar nahin
kaun sa sar hai ki jis par koi talwar nahin

phenk do mujh ko dahakte hue suraj ki tarah
meri qismat mein agar saya-e-diwar nahin

un ke pairon ke tale phul bichhae jaen
aur main lams-e-nazar ka bhi to haqdar nahin

kyon musir ho ki ghalat baat ki taid karun
main to is jurm pe apna bhi taraf-dar nahin

kis liye hain ye saza aur jaza ke charche
jab tujhe meri haqiqat se bhi inkar nahin

panw thokar ko taraste hain ki ta-hadd-e-nazar
raste mein koi patthar nahin diwar nahin

jab ye chalti hai to dil kat diya karti hai
hum ne mana ki zaban hai koi talwar nahin

mujh mein dilchaspi ke asbab na dhundo yaro
ek haqiqat hun main afsane ka kirdar nahin

mujh ko tarikh mein mahfuz kiya jaega
main sahifa hun koi roz ka akhbar nahin

main pareshan hun bhikari to nahin hun logo
kyon koi aankh milane ka rawadar nahin

haq-ba-jaanib ho jo hanste ho mera gham sun kar
mujh mein be-shak ye kami hai main adakar nahin

ab tere jaur ka suraj hai siwa neze par
zer-e-diwar bhi ab saya-e-diwar nahin

tujh pe aaenge har ek samt se patthar 'shair'
kucha-e-yar hai ye misr ka bazar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close