kabhi to is par bhi ghaur kije ki dil KHushi-na-shanas kyon hain

kabhi to is par bhi ghaur kije ki dil khushi-na-shanas kyon hain
ye andaliban-e-khush-nawa sab khamosh kyon hain udas kyon hain

main mustahiq tha mera nasheman jalaya jae so jal chuka hai
sawal ye hai ki ahl-e-gulshan khafif kyon bad-hawas kyon hain

na rah mushkil na dur manzil magar mere rahbar bata de
teri qayaadat mein chalne wale ba-qaid-e-khauf-o-hiras kyon hain

hua tha jab ikhtitam-e-mahfil nazar ye saqi ki kah rahi thi
hai kam-shanasi ka jin ko shikwa wo log khud kam-shanas kyon hain

jo apne tar-e-nafas se bun kar zamane bhar ko libas bakhshen
wo jism har zawiye se ghayal wo jism khud be-libas kyon hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close