zamana yaad rakkhega tumhein ye kaam kar jaana kisi afsurda chehre mein khushi ke rang bhar jaana kisi bhi hadse par us ki aankhen nam nahin hotin isi haalat ko kahte hain miyan ehsas mar jaana agar jaana zaruri hai to thoda muskura bhi de mujhe achchha nahin lagta tera ba-chashm-e-tar jaana abhi bhi waqt hai baqi tadap paida karo warna qayamat ki nishani hai duaon se asar jaana shahadat ki jabin par aaj bhi raushan hai wo lamha wo saat jis mein tha shabbir ka sajde mein sar jaana kai aankhon ke dipak muntazir hain dil ki rahon mein meri aawargi lazim hai mera ab to ghar jaana ana ko bechna 'shayan' zillat ki nishani hai ana ko bechne se to kahin behtar hai mar jaana