kaam duniya mein bahut karna hai qabl marne ke hamein marna hai aaiye naza ka hangam hai ab mashwara aap se kuchh karna hai dil ne ye kah ke kahin chhoda sath hum ko kuchh kaam yahan karna hai qatl karne mein takalluf na karo aakhir ek roz hamein marna hai tum se ek roz karenge taqrir apni baaton mein asar bharna hai tum ko dikhlaenge dil ki taswir ja-ba-ja rang abhi bharna hai rok lo girya-e-khunin ko 'aziz' dil ka nasur abhi bharna hai