jo khas bande hain wo banda-e-awam nahin hazar bar jo yusuf bike ghulam nahin bhala ho kya dil zahid mein soz-e-ulfat-e-haq kabhi jalane ke qabil charagh-e-kham nahin gila hai chashm-e-sukhan-go se khamushi ka hamein dahan ke hone na hone mein kuchh kalam nahin tu aaftab hai zulf-e-siyah nahin to na ho charagh-e-roz ko kuchh ehtiyaj-e-sham nahin aziz aashiq-e-gumnam ka hai dil us ko nagin wo hath mein rakhta hai jis mein nam nahin bas ek hath mein do ho ke padh dogana-e-ishq jo be-namaz hai wo qabil-e-salam nahin ye sar jhukana ye munh pherna hai mane did meri namaz mein sajda nahin salam nahin wo mujh pe marne lagi jo hai mere darpai-e-qatl ilahi is ke siwa aur intiqam nahin firaq-e-yar mein dast-e-subu udate hain khak ye gard-baad hai gardish mein apna jam nahin na hans rulaega tujh ko khumar-e-baada-e-aish mai-nashat to is bazm mein mudam nahin phanse na qaid-e-talluq mein jo ki hai aazad chaman mein tair-e-nikhat asir-e-dam nahin wo dil ho chaak nahin ishq ka nishan jis mein nagin wo tute mohabbat ka jis mein nam nahin rahega hijr ka din kab kate agar shab-e-wasl mudam roz-e-qayamat ko bhi qayam nahin bane jo baal ka phanda tumhaari tegh ka baal to murgh-e-jaan ke liye behtar is se dam nahin mai-do-atisha-e-kufr-o-din se khalq hai mast magar sharab ye ham-mashrabo haram nahin pukara apna gada kah ke mujh ko ai shah-e-husn faqir hun tere dar ka 'wazir' nam nahin