main jitni der teri yaad mein udas raha bas utni der mera dil bhi mere pas raha ajab si aag thi jalta raha badan sara tamam umr wo honton pe ban ke pyas raha mujhe ye khauf tha wo kuchh sawal kar dega main dekh kar bhi use us se na-shanas raha tamam raat ajab intishaar mein guzri tasawwuraat mein dahshat rahi hiras raha gale laga ke samundar hasin kashti ko sukut-e-tira-fazai mein bad-hawas raha 'bashir' main use kis tarha be-wafa kah dun nigah ban ke jo is dil ke aas pas raha