jite-ji kucha-e-dildar se jaya na gaya us ki diwar ka sar se mere saya na gaya kaw-kawe mizha-e-yar o dil-e-zar-o-nazar guth gae aise shitabi ki chhudaya na gaya wo to kal der talak dekhta idhar ko raha hum se hi haal-e-tabah apna dikhaya na gaya garm-rau rah-e-fana ka nahin ho sakta patang us se to shama-namat sar bhi kataya na gaya pas-e-namus-e-mohabbat tha ki farhad ke pas be-sutun samne se apne uthaya na gaya khak tak kucha-e-dildar ki chhani hum ne justuju ki pe dil-e-gum-shuda paya na gaya aatish-e-tez judai mein yakayak us bin dil jala yun ki tanik ji bhi jalaya na gaya mah ne aa samne shab yaad dilaya tha use phir wo ta subh mere ji se bhulaya na gaya zer-e-shamshir-e-sitam 'mir' tadapna kaisa sar bhi taslim-e-mohabbat mein hilaya na gaya ji mein aata hai ki kuchh aur bhi mauzun kije dard-e-dil ek ghazal mein to sunaya na gaya