kya dakhl kisi se maraz-e-ishq shifa ho mumkin hai ki is dard ki duniya mein dawa ho baalon ka ghuras rakhna hai pagdi hi mein behtar kya faeda ek khalq giraftar-e-bala ho maghrur na rah hasti-e-mauhum pe ghafil yan aankh jhapakte hi khuda jaaniye kya ho ai musht-e-ghubar-e-tan-e-farsuda-e-ashiq us ku mein zamin-gir hai giw ab tu hawa ho gar charkh pe jawe to shafaq howe mera khun war khak mein pinhan ho to wan rang-e-hina ho hai subh se kuchh aaj mere dil ko bashashat us kuche se qasid to na khat le ke chala ho kya daur hai gar ruh meri baad-e-fana bhi phirti rahe kuche mein tere baad-e-saba ho parda main uthata nahin zinhaar kisi ka is dar se kahin tu hi na parde mein chhupa ho hai aaine mein aks tera teri hi surat tu us pe fida aur wo tere pe fida ho chalte hi tere baam pe aaya hai wo kafir kyun itne qadam jald uthata hai khada ho ai 'mushafi' us kuche se tu sar ko jhukae kya jawe hai kam-bakht zara ru-ba-qafa ho