pae-nazr-e-karam tohfa hai sharm-e-na-rasai ka

pae-nazr-e-karam tohfa hai sharm-e-na-rasai ka
ba-khun-ghaltida-e-sad-rang dawa parsai ka

na ho husn-e-tamasha-dost ruswa bewafai ka
ba-mohr-e-sad-nazar sabit hai dawa parsai ka

zakat-e-husn de ai jalwa-e-binish ki mehr-asa
charagh-e-khana-e-darwesh ho kasa gadai ka

na mara jaan kar be-jurm ghafil teri gardan par
raha manind-e-khun-e-be-gunah haq aashnai ka

tamanna-e-zaban mahw-e-sipas-e-be-zabani hai
mita jis se taqaza shikwa-e-be-dast-o-pai ka

wahi ek baat hai jo yan nafas wan nikhat-e-gul hai
chaman ka jalwa bais hai meri rangin-nawai ka

dahan-e-har-but-e-paighaara-ju zanjir-e-ruswai
adam tak bewafa charcha hai teri bewafai ka

na de nale ko itna tul 'ghaalib' mukhtasar likh de
ki hasrat-sanj hun arz-e-sitam-ha-e-judai ka

jahan mit jae sai-e-did khizrabaad-e-asaish
ba-jeb-e-har-nigah pinhan hai hasil rahnumai ka

ba-ijz-abaad wahm-e-muddaa tasli-e-shokhi hai
taghaful ko na kar masruf-e-tamkin-azmai ka

'asad' ka qissa tulani hai lekin mukhtasar ye hai
ki hasrat-kash raha arz-e-sitam-ha-e-judai ka

hawas gustakhi-e-aina taklif-e-nazar-bazi
ba-jeb-e-arzu pinhan hai hasil dilrubai ka

nazar-bazi tilism-e-wahshat-abaad-e-paristan hai
raha begana-e-tasir afsun aashnai ka

na paya dardmand-e-duri-e-yaran-e-yak-dil ne
sawad-e-khatt-e-peshani se nuskha momyai ka

'asad' ye ijz-o-be-samani-e-firaun-e-tauam hai
jise tu bandagi kahta hai dawa hai khudai ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close