khud apna hath bas thame hue main rah gaya hun sadi ka dukh hun jo aankhon se apni bah gaya hun kabhi bhi aur kisi ka haq hadap karna nahin hai yahi bachchon se apne marte marte kah gaya hun wahan se hai ghulamon ka koi jarrar lashkar magar is samt se ladne ko main ek shah gaya hun ye sach hai apne bachchon ke liye tha ek dhaaras chala aaya hai wo tufan khud par dheh gaya hun khud apne aap par tanqid ki hai aap main ne kahun kya aap apni baat hans kar sah gaya hun maze le le ke padhte ho khula khat hun main koi kiya mashhur us ne main yahan se tah gaya hun hatheli mein samoya us ne us ko pyas bhi thi magar 'hasrat' main darzon mein se phir bhi bah gaya hun