kabhi salib ki surat kabhi hilali tha meri nigah mein ek paikar-e-khayali tha hamari aap ki shayad koi misal nahin jo mar gaya hai wahi aadmi misali tha kai patang ki surat khala mein dub gaya wo jitna tez tha itna hi la-ubaali tha uda aur ud ke fazaon mein ho gaya tahlil badan ke bojh se us ka wajud khali tha wo tod leta tha patte hawa ki shakhon se kamal us ka haqiqat mein be-kamali tha bana hua tha jo shahr-e-wafa ka shahzada wo main nahin tha mera zauq-e-khush-jamali tha main chhupta phirta tha shahron mein kohsaron mein wo ek shakhs magar har jagah sawali tha pada tha rah mein jo sang-e-mil se aage wo apne waqt ka 'farhat' nahin ghazali tha