kabhi gulon kabhi kharon ke darmiyan guzri saba chaman se ba-zahir to shadman guzri usi ka nam azal hai usi ka nam abad wo ek raat jo phulon ke darmiyan guzri kahin lapak uthe shoale kahin mahak uthe gul shab-e-firaq na puchho kahan kahan guzri ba-shakl-e-qamat-e-adam ba-tarz-e-raqs-e-pari hamare sar pe qayamat bhi kya jawan guzri kabhi kabhi to gham-e-dil ki lai badhi itni dil-e-hayat ki dhadkan bhi kuchh garan guzri bade nasheb bahut pech-o-kham the rahon mein magar ye umr-e-do-roza rawan-dawan guzri baham rahe hain sar-o-sina yak-digar kya kya ki sar pe tegh padi dil se jab sinan guzri