jiwan ki phulwari rakh marne ki tayyari rakh aankhon mein ho bas machhli dil mein duniya sari rakh khushiyan aati jati hain gham se thodi yari rakh dekho bachpan mat khona ghar mein ek almari rakh itna kya aasan hona kuchh chizen sarkari rakh kuchh kahna kuchh mat kahna halki si dushwari rakh aansu ab kis ko bante hansne ki bimari rakh ghalati par khud jhuk jae itni to zimmedari rakh din bhar hai ladna 'punam' raaton ko be-kari rakh