zindagi teri inayat bhi ghazab hoti hai

zindagi teri inayat bhi ghazab hoti hai
ishq ho jae to haalat hi ajab hoti hai

bas mohabbat bhi hai dagh-e-kaf-e-musa ki tarah
moajize kya nahin hote hain ye jab hoti hai

ai mere dil mujhe ye aas dilae rakhna
ek nazar lutf ki ab hoti hai ab hoti hai

ye ghanimat hai ki hai naghma-e-soz-e-hasti
zindagi yun bhi kahan raqs-e-tarab hoti hai

ruh dar-asl mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin
dam mein dam dil mein ye dhadkan ka sabab hoti hai

tishnagi had se guzar jae na baad-e-taskin
aur mil jae to phir aur talab hoti hai

be-khudi sa koi aalam hai khudi par tari
kaifiyat aisi khabar kya mujhe kab hoti hai

dil chura le jo use kahti hai jaan bhi de do
ye mohabbat bhi tabiat ki ajab hoti hai

mere bas mein to faqat mashq-e-sukhan hai 'pinhan'
khud ghazal chahe ki ho jae ye tab hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close