jo tang aa kar kisi din dil pe hum kuchh than lete hain sitam dekho ki wo bhi chhutte pahchan lete hain ba-qadr-e-hausla sahra-e-wahshat chhan lete hain musafir hain safar ke waste saman lete hain khuda chahe to ab ke qatl-gah mein mushkil aasan ho tere bimar-e-nahaq maut ka ehsan lete hain kahin marqad pe jate hain kahin ghar tak nahin jate kisi ko jaan dete hain kisi ki jaan lete hain kudurat taki rah jae sab apne daman-e-tar mein sharab-e-shauq hum pine ke pahle chhan lete hain hamari shairi zinda hui ai 'shad' marne par ki shaeq naqd-e-jaan de de ke ab diwan lete hain