nazar milte hi saqi se giri ek barq si dil par wo uttha shor tute jam ki ban aai mahfil par usi andaz se us ne likhi hai dastan dil par gale mein pyar se bahen hamail aur chhuri dil par koi ek hadisa ho gar karen hum zikr bhi us ka guzarte hain yahan to hadse par hadse dil par na manzil hai na jada hai na koi rahbar baqi mera zauq-e-safar baqi hai ek hangama-e-dil par tawaf-e-mah karna aur khala mein sans lena kya bharosa jab nahin insan ko insan ke dil par wahi maujen jo mujh ko khinch kar lai hain tufan mein unhen maujon ke sath ek roz mein pahunchunga sahil par masarrat aur rahat se na thin ranaiyan kafi 'anis' ehsan gham ke bhi bahut hain na-tawan dil par