lahu mein dub ke nikli hikayaten chup hain moamla hai hamara adalaten chup hain yahi hai waqt ka dastur aaj-kal shayad tamam shahr jala aur shahadaten chup hain ye kis ka ghamza-e-khun-rez hai ki mahfil mein kisi mein dam nahin sab ki jasaraten chup hain na hoga kuchh bhi to hasil siwa shamatat ke ye soch soch ke apni jarahaten chup hain na chaaragar hai koi ab na gham-gusar koi tamam sidq-o-safa ki riwayaten chup hain ye bastiyan nahin ab mukhbiron ke markaz hain to kya ajab hai azizo rifaqaten chup hain kalaiyon ko marodega kaun zalim ki ki inqalab hai khufta baghawaten chup hain hua ye kya mere yaran-e-tez-gam ke sath itab mohr-ba-lab hai shararten chup hain mere siwa nahin mauzu-e-guftugu ab bhi ye aur baat ki ab wo inayaten chup hain ye kis guman mein baithe ho tum miyan 'azhar' ye daur wo hai ki jis mein karamaten chup hain