jo adu-e-bagh ho barbaad ho

jo adu-e-bagh ho barbaad ho
koi ho gulchin ho ya sayyaad ho

mujh sa aashiq morid-e-bedad ho
tum bade saffak ho jallad ho

kucha-e-jaanan se matlab hai hamein
dair viran ho haram barbaad ho

qaid-e-mazhab waqai ek rog hai
aadmi ko chahiye aazad ho

daur daur-e-mohtasib hai saqiya
hae kyunkar mai-kada aabaad ho

bik gae hain aap to ghairon ke hath
banda-parwar ab ghulam aazad ho

ye tamiz allah de sayyaad ko
bagh viran ho qafas aabaad ho

sarw-qaddon se agar pala pade
khub sidha bagh mein shamshad ho

aaina dil ka jo dikhlaun unhen
ja-e-hairat ho ajab rudad ho

tum wo ho mar jaen to bhi gham na ho
aish ho ishrat ho khush ho shad ho

gumbad-e-gardun par ai dil aah se
kuchh na kuchh aafat pade uftad ho

maut hansti hai khizar ke haal par
ta-kuja hasti-e-be-buniyaad ho

mausam-e-gul ho junun ka josh ho
ja-ba-ja haddad ho fassad ho

kan rakh kar wo mere nale sune
zulf dud-e-shola-e-fariyaad ho

main wo bulbul hun jise dono hain ek
bagh ho ya khana-e-sayyaad ho

nazr sar karta hun main ai shah-e-husn
hukm ho jallad ko irshad ho

rang laya hai ladakpan aap ka
nau-bahaar-e-gulshan-e-ijad ho

kya qayamat hai bura ho maut ka
hum na hon ye aalam-e-ijad ho

bar-e-ilaha yun uthen mahshar ko hum
hath ho aur daman jallad ho

zahir-o-baatin mein ai dil farq ho
but baghal mein ho khuda ki yaad ho

un raqibon ko khuda ghaarat kare
aap hon ye aashiq-e-nashad ho

aap ko apni khushi se kaam hai
koi na-khush ho koi nashad ho

aah aandhi hai mitane ke liye
naqsh-e-hasti chahiye barbaad ho

jae gulshan mein jo tu ai naunihaal
kya tawarud misra-e-shamshad ho

khub hai us gul ko lae rah par
ai 'saba' tum bhi bade ustad ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close