jo aks-e-yar tah-e-ab dekh sakte hain ajib log hain kya khwab dekh sakte hain samundaron ke safar sab ki qismaton mein kahan so hum kinare se girdab dekh sakte hain guzarne wale jahazon se rasm o rah nahin bas un ke aks sar-e-ab dekh sakte hain hawa ke apne ilaqe hawas ke apne maqam ye kab kisi ko zafar-yab dekh sakte hain khafa hain aashiq o mashuq se magar kuchh log ghazal mein ishq ke aadab dekh sakte hain