jo bashar har waqt mahw-e-zat hai qalb us ka lam-yazal miraat hai jis ko shaghl-e-nafi-o-isbaat hai wo hi sahib-dil hai khush-auqat hai sahw hota hai kabhi hota hai mahw kya maze ka apna ye din-raat hai na-murad-e-dahr fard-e-dahr hai wo jahan mein qazi-ul-hajat hai hon sifat-e-nafs jis ke qalb-e-ruh wo bashar kab hai wo husn-e-zat hai sahab-e-nisbat ka rutba hai buland garche zahid sahabuddawat hai bast mein jab qabz ka daura hua hai qayamat naza ki sakraat hai wo tayyun hi ke phande mein raha jo yahan paband-e-mahsusat hai mughbacho ho jao tum bhi be-niyaz pir-e-mugh to qibla-e-hajat hai hum bhi hain 'saqi' talash-e-yar mein wo jo mil jae to phir kya baat hai