kaun darwaza khula rakhta barae intizar raat gahri ho chali rahraw abas hai kal pukar aankh jal jati hai lekin khwab jhulsati nahin surmai dheri ki khunki se janam legi bahaar kaun dasht-e-karb ke aazar ka aadi hua kaun ja paya hai bahr-e-dard ki maujon ke par ranj mein lipta raha mahtab ka ghamgin badan raat tairis par koi sajde main roya zar-zar ab kisi shikwe-gile ki koi gunjaish nahin aap apne hath se saunpa tha us ko ikhtiyar kaifiyat ki puchh mat hamdam ki lutf-e-qurb se aaj kuchh badh kar hai apne andarun bahta khumar shahzadi rauzan-e-zindan se rah takti rahi shahr ki rakhshandagi mein kho gaya ek shahsawar ek nazar ka moajiza mere qalam ka sab hunar ek sunahri dhyan se barsi hai nazmon ki phuwar