meri hayat ko be-rabt bab rahne de waraq waraq yun hi gham ki kitab rahne de main rahgiron ki himmat bandhane wala hun mere wajud mein shamil sharab rahne de tabah khud ko main kar lun badan ko chhu ke tere tu apne lams ka mujh par azab rahne de zara thahar ki abhi khun mein samai nahin mere qarib badan ki sharab rahne de bhula chuka hun main sab kuchh dila na yaad mujhe jo kho chuka hun ab us ka hisab rahne de jala liya hai badan apni aag mein main ne bujha na is ko abhi ye azab rahne de