jo baad-e-marg bhi dil ko rahi kanar mein ja to so chuka main faraghat se bas mazar mein ja tamam dard hon malum kuchh nahin ki kahan tere khadang ne ki hai tan-e-nazar mein ja yahi to rizq hai baad-e-fana mera zalim samajh ke barq-e-sharar-bar kharzar mein ja qadam samajh ke tu rakh tishnigan-e-hasrat se tihi nahin hai tuk ulfat ki rahguzar mein ja uthi jo kulfat-e-dil kam ho meri kulfat mein ghubar jaise ki mil jae hai ghubar mein ja na ho kahin ki do-sad-khun-e-khufta hon bedar saba jo jae to aahista ku-e-yar mein ja khadang-e-ghamza to khar-shigaf hai us ka chhupae ji ko koi kaun se hisar mein ja