jo baiTho sochne har zaKHm-e-dil kasakta hai

jo baitho sochne har zakhm-e-dil kasakta hai
ghazal kaho to qalam se lahu tapakta hai

main ab bhi rota hun mahrumiyon pe bachpan ki
khilaune dekh ke dil aaj bhi humakta hai

faza mein khauf-e-hawa bolne nahin deta
zamin pe aa ke parinda bahut chahakta hai

tumhaara lahja to dariya hai bahte pani ka
ye aag ban ke samundar mein kyun bhadakta hai

dil-o-dimagh ke sab tar bajne lagte hain
naqab chehra-e-fitrat se jab sarakta hai

amir-e-shahr banaya gaya hai jis din se
hamare ghaw sitamgar bahut namakta hai

chamakne lagte hain 'anjum' tumhaari yaadon ke
wo aasman pe jab raushni chhidakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close