raushni ke saz-o-saman dhundhta phirta tha main un dinon ek chand ki tamir mein uljha tha main aakhiri manzar hi shab ka hath lag paya mere kal teri mahfil mein thoda der se pahuncha tha main us purane ghar ki wo diwar ab ke gir gai han wahi diwar jis par ab talak likkha tha main us ki bahon se nikal aaya bhi tha mera badan aur us ke sine mein ab tak kahin lipta tha main umr-bhar ki mushkilen hans kar ke main ne par ki ek khushi mujh ko mili thi bas tabhi roya tha main wo mere tute hue kirchon ko kab tak jodta thoda thoda kar ke sare ghar mein hi bikhra tha main puchhiye mat kya sukun-e-mustaqil tha qabr mein muddaton ke baad aisi nind mein soya tha main