patte tamam halqa-e-sarsar mein rah gae hum shakh-e-sabz mein shajar-e-tar mein rah gae likh lena is qadar wo safine nahin mere sahil pe rah gae jo samundar mein rah gae us lazzat-e-safar ko main ab un se kya kahun jo saya-ha-e-sarw-o-sanobar mein rah gae aasar-e-yak-kharaba-e-abaad ho ke hum sinon mein rah na pae to patthar mein rah gae bahar hi chhod aae wo chehra jo khas tha ek aam aadmi ki tarah ghar mein rah gae ruswa unhen badan ke taqazon ne kar diya kya log the jo tut ke pal bhar mein rah gae tum to ana ka ek jazira ho soch lo aise kai jazire samundar mein rah gae