jo bhi darun-e-dil hai wo bahar na aaega ab aagahi ka zahr zaban par na aaega ab ke bichhad ke us ko nadamat thi is qadar ji chahta bhi ho to palat kar na aaega yun phir raha hai kanch ka paikar liye hue ghafil ko ye guman hai ki patthar na aaega phir bo raha hun aaj unhin sahilon pe phul phir jaise mauj mein ye samundar na aaega main jaan-ba-lab hun tark-e-talluq ke zahr se wo mutmain ki harf to us par na aaega