wade ki jo saat dam-e-kushtan hai hamara jo dost hamara hai so dushman hai hamara ye kah-e-ruba se bhi hain kam ai kashish-e-dil mazkur kuchh aisa pas-e-chilman hai hamara afsos mu-e-sham-e-shab-e-wasl ki manind jo qahqaha shadi hai so shewan hai hamara mahtab ka kya rang kiya dud-e-fughan ne ahwal shab-e-tar se raushan hai hamara deta nahin us zof pe bhi josh-e-junun chain har reg-e-rawan dasht mein tausan hai hamara tafrih na kyunkar ho hawa aa nahin sakti goya dar o diwar nasheman hai hamara gar pas hai logon ka to aa ja ki qalaq se hai lash kahin aur kahin madfan hai hamara jazb-e-dil use khinch ke lae to kahan lae jo ghair ka ghar hai wahi maskan hai hamara but-khane se kabe ko chale rashk ke mare 'momin' khizr-e-rah barhaman hai hamara