jo bhi kahna tha wo an-kaha rah gaya dil ka arman dil mein daba rah gaya umr bhar us ki jaanib main chalti rahi phir bhi milon ka ye fasla rah gaya yun to duniya mein sab kuchh hai mujh ko mila sirf tu hi to mujh se juda rah gaya apni kahta raha meri ek na suni wo khafa tha khafa ka khafa rah gaya aa gaya laut kar wo mere pas hi mujh mein phir bhi kahin ek khala rah gaya kya bataun tumhein apni taqdir se kya mila hai mujhe aur kya rah gaya dhundte dhundte main kahin kho gai wo bhi mere liye lapata rah gaya manzilen mil gain jaane kis ko 'hina' apni qismat mein bas rasta rah gaya