jo bhi yakja hai bikharta nazar aata hai mujhe jaane yun hai bhi ki aisa nazar aata hai mujhe chashm-e-wa mein to wahi manzar-e-khali hai jo tha mund lun aankh to kya kya nazar aata hai mujhe mail-e-arz-e-tamanna hai na hai waqf-e-malal ai mere dil tu thaharta nazar aata hai mujhe pas-e-nazzara koi khwab-e-gurezan hi na ho dekhne mein to tamasha nazar aata hai mujhe bandh lun rakht-e-safar laut chalun ghar ki taraf teri jaanib se ishaara nazar aata hai mujhe tujhe kyunkar ho ye malum mere mah-e-tamam dagh-e-dil kaise sitara nazar aata hai mujhe kashti-e-jaan yahi ik-adh bhanwar aur hai bas kahin nazdik kinara nazar aata hai mujhe dekhne dekhne mein farq hua karta hai tumhi batlao ki kaisa nazar aata hai mujhe