jo biti hai jo bitegi sab afsane lage hum ko use dekha to apne khwab hi sachche lage hum ko unhen dekha to jaise par-shikasta koi tair ho wo apni dar se bichhde thake haare lage hum ko bahut naraaz the khud se kisi se kuchh nahin bole wo ek kone mein yun baithe hue achchhe lage hum ko samajhte hi na the samjhaya un ko rasta dil ka kai naqshon ko phailaya kai ghante lage hum ko wahi afsane duniya ke ab un se hum ko kya lena kabhi ukta gae un se kabhi achchhe lage hum ko zara hat kar jo apne-ap ko kuchh dur se dekha to jin baaton pe itna roe the qisse lage hum ko unhen duniya ka aisa moh socho to hansi aae wo sattar sal ke honge magar bachche lage hum ko bacha kar lae is tanhai ko hum bhid se 'mushaf' phir ek rickshe mein baithe aur bade dhakke lage hum ko