jo dahr ki nazar mein khudawand-e-hosh hai is intiha-e-zulm pe wo bhi khamosh hai sahra ki manzilon se pare hai wo lala-zar parde mein jis ki rut ke koi mai-farosh hai tahzib ustuwar ki khwahish ki rah mein nam-e-digar hayat ka josh-o-kharosh hai kal tu sunega zulm se mera mukalima apna jahan aaj hi muhtaj-e-gosh hai insan pukarta hai koi inqalab aae patthar ki baat aur hai patthar khamosh hai