kar raha hai samna tir-e-nigah-e-naz ka allah allah ye kaleja aashiq-e-jaanbaz ka qatl hi manzur hai gar aashiq-e-jaanbaz ka war ho jae koi tegh-e-nigah-e-naz ka dard se ho wasta ai ham-nafas aawaz ka soz agar hasil nahin to lutf kya phir saz ka har qadam par uthte hain fitne salami ke liye kya qayamat-khez hai aalam khiram-e-naz ka fasla jitna hai farsh-o-arsh mein wo kuchh nahin hai ziyaada se ziyaada meri ek parwaz ka hai jabin meri kisi ke aastan-e-pak par dekhta hun aaj ye manzar niyaz-o-naz ka jaise mere dil mein tera dhyan hai ai ham-nashin hai meri aawaz par dhoka teri aawaz ka kar diya behosh mujh ko jalwa-ha-e-naz ne is qadar ehsan hai mujh par jalwa-gah-e-naz ka kar rahe ho tum jise pamal wo dil khair se aashiq-e-jaanbaz ka hai aashiq-e-jaanbaz ka jalwa-pashi ki to husn-e-roz-afzun ne kaha zarra zarra hai munawwar jalwa-gah-e-naz ka ab to har shai mein wahi jalwa nazar aane laga meri aankhon mein hai jalwa jis harim-e-naz ka qabr par dekha hujum-e-ashiqan to ye kaha hum mita denge mazar apne shahid-e-naz ka tair-e-dil ko uda lete hain paikan-e-nazar hai ye ek adna karishma mere tir-andaz ka dil se jab nikli shab-e-furqat to pahunchi arsh par tha meri aah-e-rasa mein zor kya parwaz ka hazrat-e-musa jo mil jate kahin 'sabir' hamein puchhte kuchh haal un se jalwa-gah-e-naz ka