kis hawale se mujhe kis ka pata yaad aaya husn-e-kafir ko jo dekha to khuda yaad aaya ek tuta hua paiman-e-wafa yaad aaya yaad aaya bhi mujhe aaj to kya yaad aaya sham ke hath ne jis waqt laga li mehndi mujhe us waqt tera rang-e-hina yaad aaya kahin aankhon ki nami raaz na ifsha kar de main ne munh pher liya tu jo zara yaad aaya sare fankar utha lae the shahkaron ko aur main tha mujhe andaz tera yaad aaya kitni duniya thi mere gird tujhe kya malum badi mushkil se mujhe tera pata yaad aaya tere daman mein nami itni ziyaada kyun hai kaun sa phul tujhe baad-e-saba yaad aaya jab kisi ko koi ummid wafaon ki na thi mujhe us pal tera paiman-e-wafa yaad aaya qadam uthte the kahan su-e-haram apne 'adim' aaj mushkil nazar aai to khuda yaad aaya