jo dost tha wahi dushman hai kya kiya jae ajab khalish ajab uljhan hai kya kiya jae basa hua hai jo khushbu ki tarah sanson mein usi se ab meri an-ban hai kya kiya jae yagangat ka wo jazba idhar raha na udhar dua-salam bhi rasman hai kya kiya jae bahaar mein bhi mayassar gul-e-murad nahin ye na-muradi-e-daman hai kya kiya jae faza-e-sahn-e-chaman shoala-bar hai lekin yahin hamara nasheman hai kya kiya jae mujhe mita ke rahegi ye raat hijr ki raat azal se ye meri dushman hai kya kiya jae chhupaun kaise 'waqar' apne dil ke daghon ko jo dagh hai wahi raushan hai kya kiya jae