mere honton ka abhi zahar tere jism mein hai tu agar bichhda to kya chain se rah paega ai sukhan-fahm mere sher se kya lagta hai kya mere baad mujhe yaad rakha jaega main to is shauq mein hota hun ki kuchh bolen log bolna apna kabhi rang to dikhlaega tu jo ab sath nahin hai to yahi lagta hai ab khuda bhi to mere kaam nahin aaega jo bhi kahna hai yahan jhut ke andaz mein kah sach agar tu ne kabhi bola to pachhtaega